Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Sheikh Abdul Aahad Sirhindi

 

Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh  Sirhind mein peda hue. aapke waalid ka naam Zain al Aabdeen Rahmatullah Alayh tha. aap ne ibtidayi taleem apne waalid se haasil ki is ke baad aap ne apne waalid sahib se kaha kay mujhe kisi aisay buzurag ke paas le chalein jin ko rohaniyat  mein aala maqam haasil ho. aap ke waalid sahib ne kaha kay beta buzurag ghar baith kar nahi mlitay un ko talaash kya jata hai. Is par Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ne apne waalid se kaha to phir aap kisi wali kaamil ki talaash mein meri madad kiijiye taakay mein apni manzil pa sakon .

Aik roz Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ko khawab mein aik buzurag nazar aaye jo un ko kah rahay thay kay Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh jaldi se Gangoh chalay aao. Subuh bedaar hue to yeh khawab apne waalid sahib ko sunaya to unhon ne kaha kay Allah ne tumhari rahbari ke samaan peda kar diye hain kyunkay  Gangoh mein Sheikh Abdul Qadoos Rahmatullah Alayh  bohat barray aur buland paya buzurag hain. Ab aap ka dil chahta tha kay kisi terhan urr kar Gangoh pahonch jaoon. aap ke waalid aap ki is be cheeni se barray pareshan thay is liye unhon ne jane ka faisla karliya. Chunancha Sheikh Zain al Aabdin Rahmatullah Alayh aapKo le ker rawana  ho gaye .

Jab dono baap beta Gangohi ke astane mein daakhil hue to wahan Sheikh Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ki hadaayat par un ka khadim baari baari sab naye anay walon ko khanqah ke andar daakhil kar raha tha kay Sheikh ne khadim se kaha kay aaj naye anay walay mehmanon main doo Farooqi silsilay ke mahaman bhi hain un ko mere paas bhaijho. Chunancha jab khadim ne aap ko puraka to Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh aur un ke waalid Zain al Aabdeen Rahmatullah Alayh aik dosray ko maienay khaiz nazron se dekhnay lagey aur yeh samjhay kay shayad yeh koi dosray sahiban honge lekin jab khadim ne dobarah puraka to aap samajh gaye kay aap ko hi puraka ja raha hai. Chunancha aap andar tashreef le gaye .

Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ko dekh kar Sheikh Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ne farmaya kiyon bhayi yahan anay ke liye apne waalid ko kiyon tang kya. Agar yahan anay ki itni jaldi thi to akailey chalay atay. Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ne kaha Hazrat tanha anay ki himmat nah thi. Is ke baad aap ke waalid aap ko chhorr kar waps  Sirhind chalay gaye. Yahan Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ko aik alag hujrah  diya gaya jahan aap ibadat kya karte thay magar aap ki khwahish thi kay aap ko bhi dosray darwashon  ke sath rakha jaye. Chunancha aap ne is ka izhaar Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh se kya. Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ne farmaya pehlay aap aloom e deen ki taleem mukammal karlen aur shariat e Rasool Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam par mustahkam ho jaien phir aap ka shumaar az khud Darwashon  mein ho jaye ga. Kisi kaamil ustaad se apni taleem mukammal karen phir hamaray paas haazir hon. Hum tum se Hadees, Fiqa, Tafseer aur Tasawuf  ka imthehaan laingay agar tum is mein paas ho gaye to phir tum yahan reh satke ho .

Sheikh ka hukum pa kar Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh husool e ilm ke liye safar par rawana ho gaye aur mukhtalif  jaghon se deeni aloom haasil kya. aap ne Tafseer , Hadees aur Fiqa mein bhi mahaarat haasil ki. Jab aap apni taleem mukammal kar kay wapas Gangoh puhanche to aap ko pata chala kay Sheikh Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh  is daar e fani se rukhsat ho chukay hain to aap Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ke sahibzaday Sheikh Rukan al Deen Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue aur Fatiha parhi. Sheikh Rukan al Deen Rahmatullah Alayh ne farmaya hamein baba ne hukum diya tha kay jab Abdul Aahad Rahmatullah Alayh wapas aaye to is se hadees, Tafseer , Fiqa aur Tasawuf  mein is ka imthehaan le kar apne paas rehne ki ijazat day dena. Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh har imthehaan dainay ke liye tayyar thay chunancha Sheikh Rukan al Deen Rahmatullah Alayh ne aap ka imthehaan liya. Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ke jawabi dalail aur wazahaten sun kar Sheikh Rukan al Deen Rahmatullah Alayh heran reh gaye aur isi waqt aap ko silsila Chishtia aur Soharwardia ka Khirqah khilafat aataa farmaya aur aap ko rehne ki ijazat day di .

Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh zuhd o taqwaa  mein bari hi maroof  hasti thay. aap ne Sheikh Rukan al Deen Rahmatullah Alayh se tarbiyat haasil karne ke baad aik muddat gosha nasheeni mein guzar diye. Is ke baad aap ne Hadees, Fiqa aur Tafseer ki taleem dena shuru kar di. aap Masjid mein baith kar senkron shagrdon ko zewar e taleem se aarasta farmatay thay. Aik roz jab aap Sakandria  mein waaz farma rehe thay to aik khatoon taqreer khatam honay ke baad aap ki khidmat mein haazir hui aur kehnay lagi kay meri choti behan aap se bohat mutasir hai aur deeni taleem ki bari shoqeen hai. Hum sab ghar walon ne aap ke awsaf dekhe hain aur chahtay hain kay hamari behan ki shadi aap ke sath ho jaye. aap ne yeh baatein suneney ke baad kaha kay mein aksar jazb o sukar ki haalat mein hota hon shadi karne ke baad aayli zimma dariyan nahi nibha sakta is liye mein ne shadi nah karne ka faisla kya hai. Lekin is khatoon ne himmat nahi hary aur sunnat e Rasool Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam se shadi ki ahmiyat ke hawalay se aik din aap ko qaail kar liya aur yun Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ki shadi intehai khamoshi aur saadgi se ho gayi. Shadi ke baad aap apni zoja mohtarma ko Gangoh se le kar Sirhind aa gaye .

Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ne aik raat bara ajeeb khawab dekha kay poori kaayenaat par tareeqi  chhai hui hai. Ajeeb al-khalqat janwaron ke ilawa soor, bandar aur reechh insanon par hamla aawar ho rahay hain. Nafsa nafsi ka aalam hai. Aik taraf  badsoorat insanon ki qatarain lagi hui hain aur un ko aik bari qad o qamt wala shakhs saza day raha hai. Is douran achanak aik noor Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ke seenay se nikalta hai aur poori duniya roshan hojati hai. Phir bijli kondti hai jis se saaray darendey halaak ho jatay hain. Phir sara maidan saaf  kar diya jata hai aur is par aik takhat bichaa diya jata hai jis par aik noorani shakal walay buzurag aa kar tashreef farma ho jatay hain aur un ke ird gird noorani shakal walay la tadaad buzurag kharray hotay hain. Phir firshton ki aik fouj aik taraf se aati hai aur sab ki zabaan par Quran Majeed ki aik hi aayat hai jis ka matlab hai keh kah doo haq aa gaya aur baatil bhaag gaya aur baatil ko bhagna hi tha. Is aawaz ke sath hi bohat se log aik simt se rotay hue atay hain aur sahib e masnad ke agay apne gunaaho ka aitraaf  karte hain aur woh un ko sazayen dete hain. Is ke sath hi Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ki aankh khil gayi aap ne apna yeh khawab apni biwi ko sunaya to unhon ne aap ko mahswara diya kay aap Hazrat Shah Kamal Rahmatullah Alayh  ki khidmat mein haazir hon aur un ko apna khawab bayan karen woh aap ko behtar mahswara dein gay .

Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh Hazrat Shah Kamal Rahmatullah Alayh ke paas puhanche aur inhen apna khawab sunaya. Hazrat Shah  Kamal Rahmatullah Alayh  muskuraye aur farmaya kay is martaba tumahray haan jo farzand hoga woh kufar o zumat ka khtama kare ga aur deen ki ashaat o tableegh ko jala bakhshay ga. Jab woh peda ho to foran mujhe ittila dena aur is waqt tak is ke munh  mein koi cheez nah daalna  jab tak mein nah pahonch jaoon. Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh  yeh khabar sun kar khushi se sarshar ho kar ghar wapas chalay gaye .

Jab Hazrat Sheikh Abdul Aahad Rahmatullah Alayh ke ghar betay ki wiladat hui to aap ne jaa kar Hazrat Shah Kamal Rahmatullah Alayh  ko ittila di chunancha Hazrat Shah Kamal Rahmatullah Alayh  aap ke sath aap ke ghar tashreef  le aaye. Hazrat Shah Kamal Rahmatullah Alayh ne keemiyai nazrain no molood par markooz kar den aur angisht e shahadat bachay ke munh mein day di aur farmaya yeh bacha tajdeed e deen aur rohani faiz khalq e Khuda ko pohanchanay ke liye peda kya gaya hai. No molood kaafi der tak Hazrat ShahKamal Rahmatullah Alayh ki ungli choosta raha hatah kay Shah Kamal Rahmatullah Alayh ne kaha ! Bas kar beta kuch hamari nasal ke liye bhi rehne day tu nay to hamari nisbat le li hi. Yahi woh bacha tha jo baad mein Mujaddad Alif Sani Rahmatullah Alayh  kehlaye aur jinhon ne ahad saaz aur jallel al-qadar badshah ko apne agay surangoon kar liya .

Aap 17Rajab 1007 Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue. Aap ka mazaar Aqdes Sirhind se shumal ki janib aik meel ke faaslay par waqay hai .